Is covid ke dauraan mai Dilli se apna kaam chor ke apne gao wapas aa gya hu ab mere paas yha koi rojgaar nhi hai, saath hi me mere paas NREGA card bhi nhi hai, to mai kaam paane ke liye Nrega card kha se aur kaise banwa sakta hu?

gram panchayat me jakar LDC se contact kro bhai vo bna denge

"Job card ka aavedan nikat ki Gram Panchayat me 3 tareeko se kiya jaa sakta hai 1) mokhik rup me gram panchayat me bol kar. 2) Rajya sarkar dwaara jaari kiye gye NREGA form ko bhar kar, jo Gram Panchayat me mil jaaega. 3) Ek kore kaagaz me nimn jaankari likh kar - a) aavedak ki photo b) aavedak ka naam, umr aur ling. c) gaon, gram panchayat aur block ka naam. d) SC/ST/IAY (Indira Aawas yojna) ke laabharti e) Aavedak ke hastaakshar ya anghute ka nishaan aur adhik jaan ne ke liye is video ko dekhe - https://www.youtube.com/watch?v=FscysroNEcI&ab_channel=PaheliFacts"

You are closing this Help Request!
